Dar gayi thi Srushti.. Usko apne andhar chalane wale toofan ne dara diya tha. Uske dimag ko pata tha ki ye galat hai.. kisi ke hone ya na hone se etna farak padna sahi nhi hai. Bimari hai ye ek. Par dil ka kya karti. Usse har din door rehna punishment lagne laga tha aur Ajay ki yaad aati rehti thi. Srushti ne dimag lagaya aur socha ki kuch din ajay se door rahegi to sab thik ho jayega. Ye affection nahi sirf attraction hai badhti umar ke side-effects hai..
Ajay ko pata chal gya tha ki Srushti ko feeling hai usko leke, ajay etna self-aware ladka nhi tha.. usse to unke ek common friend ne heads up de dia tha. Vikas – badha bhai ke jaise tha wo ajay and Srushti ke lie. Din bhar galli ke sare ladke vikas bhaiya ke aas pas hi rehte ladkiyon ki kahani sunane ke lie. Vikas college mein padhta tha. Padhai mein zero tha par experience solid tha bande ka. Vikas ne observe karat ha ajay aur Srushti ki closeness ko and usne ek din ajay ko side pe leke bol dia ki Srushti ke aankhein feeling jata deti hai. Ajay ko abhi uske board exams pe dhyan dena tha. Usne decide kar dia ki Srushti ke sath baat karna uske lie time waste hai aur ajay ne bhi Srushti ko dekhana uske bare mien puchna band kar dia tha.
Srushti jiske dil mein sirf ajay tha aur ek taraf ajay tha jiske Srushti se sirf badhti umar ka attraction tha. Akhir kyun na ho.. Srushti ke empty dil mein ajay ke touch ne uske smile ne place bana li aur Srushti galli sabse achi ladki thi. Studies mein first, dekhne mein masoom aur uske badhti umar uske face pe glow ka reason ban gyi thi, isilie ajay ko attraction tha Srushti se bas.. physical or mental attraction bhi. Par etna serious nhi thi ajay ki feelings ki wo Srushti ke lie daily wait kare terrace studies ke lie.
Akhir teenage ladka hi to tha ajay bhi.
Waise teenage hone is not enough reason to do anything stupid but these guys did it. They fell for each other. Srushti doesn’t want to confess to herself and ajay still doesn’t know that he liked Srushti as a girl as a partner.
They need time to understand and face these feeling. They were young stupid teenagers only ????
But trust me, they will reconcile, they will love each other from their soul.
Just one meeting was needed, that amazing meeting after an year.. after so long they will find peace in each other’s arms.
Download the app
आता वाचा ईराच्या कथा सोप्या पद्धतीने, आजच ईरा app इंस्टॉल करा