Hate letter -P3

Hate letter -P3

Baat hai tab ki jab Srushti ko school ke topper batch mien select hona uske matric exam ke lie. School  mein har saal ek special exam hoti hai jisme jo top 60 mein aata hai uski ek batch banati hai aur uss batch ko state level champs ki tarah padhaya jate h. The famous division ‘B’ (A division sirf girls ke lie thi :P). Ajay jo Srushti se senior tha, wo already matric ke ‘B’ division mein tha aur Srushti ko pane hero ke jaise wahi division mein jana tha. Pagal tha Srushti ka dimag jo bas dil ki suntan tha. Srushti ne kabhi ye nhi socha ki wo school ke top 500 students mein hai aur abhi wo top 60 achieve karegi usse bas yahi pata tha ki uska ajay ‘B’ division mien hai aur usse bhi wahi division mein jana hai.

Padhai se jyada khud ko champ ke tarah ready karna jaruri tha. Night classes ke lie jana, school ke jo romance night classes mein hote h usse khud ko alag rkh kar bas apne  ajay ke lie padhai karana tough tha ek teenager ke lie. Par Srushti ne ye sab kia. Har raat ko ajay aur baki gaalli ke students ke sath terrace pe baith kar special exam ke preparation karti thi. Har roj Srushti aur  ajay ek hi sath padhai ke lie baithate the. Ek dusare ke aamne samne aur ek pyari si smile share karte the. Shayad yahi reason tha ki Srushti ab aur bhi khubsoorat hasna sikh gayi thi. Ek din aaya jab Srushti sirf aur sirf ajay ko dekhne lagi, uska padhai pe dyan hi nhi tha aur ajay ne dekha hi nhi uske taraf. Koi smile bhi exchange nahi kari, uss din pahli bar Srushti ko samaz aa gya ki wo ajay ke bina reh nhi sakti. Bekarar ho jati hai, usko har chije se nafrat ho jayegi, ajay ke bina Srushti emotionless aur lifeless ho jayegi aur usse pata chal gya uss pagal to pyar ho gya hai. Uske baad Srushti ne kahi dino tak padhai nhi kari, na hi wo ajay se mili aur uske terrace pe bhi night studies ke lie nahi gayi. Ajib baat to ye hai kia ajay ne bhi nahi pucha Srushti ko.

Aage pata nhi kya hoga……………….

🎭 Series Post

View all